Mir Taqi Mir (@mirpoetry) 's Twitter Profile
Mir Taqi Mir

@mirpoetry

Mir Taqi Mir was the leading Urdu poet of the 18th century, often known as Khuda-e-Sukhan. Renderings by @Sifrings

ID: 317935198

linkhttp://universalpoetries.wordpress.com calendar_today15-06-2011 18:14:04

324 Tweet

26,26K Followers

12 Following

Mir Taqi Mir (@mirpoetry) 's Twitter Profile Photo

gham-e mazmuun* nah khaatir* mein nah dil mein dard kya haasil hu'aa kaaghaz namat go rang tera zard* kya haasil [ *1 grief of themes *2 temperament *3 became pallid/yellow like paper ]

Mir Taqi Mir (@mirpoetry) 's Twitter Profile Photo

shifaa* apni taqdeer hi mein na thi ki maqdoor* tak to davaa kar chale [ *1 healing, cure, recovery. *2 power, authority ] vo kya cheez hai aah jis ke liye har ik cheez se dil uthaa kar chale kahein kya jo poochhe koi ham se Mir jahaan mein tum aa.e the kya kar chale

Mir Taqi Mir (@mirpoetry) 's Twitter Profile Photo

dilli jo ek shehr tha aalam mein intikhaab rehte the muntakhab hi jahaan rozgaar ke uss ko falak ne loot ke barbaad kar diya hum rehne vaale hain usee ujde dayaar ke

Mir Taqi Mir (@mirpoetry) 's Twitter Profile Photo

jee mein aataa hai ki kuch aur bhi mauzuu keeje // dard-e-dil ek ghazal mein to sunaayaa na gayaa. [ mauzuu=verses / forms ]

Mir Taqi Mir (@mirpoetry) 's Twitter Profile Photo

yuun pukare hai mujhe koocha-e-jaana waale // idhar aa bey, abey o chaak garebaan* waale. [ *= whose clothes are torn to pieces ]

Mir Taqi Mir (@mirpoetry) 's Twitter Profile Photo

ibtidaa hi mein mar ga'e sab yaar ishq kee kaun intihaa laayaa ab to jaate hain but-kade se Meer phir mileinge agar khudaa laayaa

Mir Taqi Mir (@mirpoetry) 's Twitter Profile Photo

jigar hee mein yak qatrah khoon hai sirishk* palak tak gayaa to talaatum* kiyaa [ *1= tear-drop *2= dashing (particularly of waves)]