Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile
Gulzar

@gulzarpoetry

Sampooran Singh Kalra known popularly by his pen name Gulzar. Arguably the best poet and lyricist in India.

A tribute account by @Sifrings

ID: 388272261

calendar_today10-10-2011 13:41:49

582 Tweet

183,183K Takipçi

17 Takip Edilen

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

ik raat chalo taameer karein khamoshi ke sang-e-marmar par, hum taan ke taareeki sar par do shamm'ae jalaaye jismo'n ki. jab oas, dabe paanv utre aahat bhi na paaye saaso'n ki

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

kohre ki reshmi khusboo mein, khusboo ki tarah hi lipte rahein aur jism ke saundhe pardo'n mein rooho'n ki tarah lehraate rahein.

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

bas ek hi sur mein, ek hi lai pe subh se dekh dekh kaise baras raha hai udaas paani phuvaar ke malmalee dupatte se udh rahe hain tamaam mausam tapak raha hai palak palak ris rahi hai yeh kaa'enaat saari

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

har ek shai bheeg bheeg kar dekh kaisi bojhal si ho ga'i hai dimaagh ki geelee geelee sochon se bheegee bheegee udaas yaadein tapak rahi hain thake thake se badan mein bas dheere dheere saanson ka garm lobaan jal raha hai

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

ek se ghar hain sabhi, ek se baashinde hain ajnabi sheher mein kuch ajnabi lagta hi nahi ek se dard hain sab, ek se hi rishte hain

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

aao phir nazm kahein phir kisi dard ko sehlaake suja lein aankhein phir kisi dukhti hui rag se chua dein nashtar ya kisi bhooli hui raah pe mudkar ik baar naam lekar kisi humnaam ko aavaaz hi de lein phir koi nazm kahein

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

kitni aawaazein hain, yeh log hain, baatein hain magar zehan ke peeche kisi aur hi sataha pe kahin jaise chupchap barasta hai tasavvur tera

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

haath lagte hai mah-o-saal magar ungliyon se phisalte rehte hain dhoop-chaanv ki daud hai saari kuch bhi qayam nahin hai kuch bhi nahin

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

halke-halke kohre ke dhuein mein shayad aasmaan tak aa gayi hoon teri do nigaahon ke sahaare dekho to kahaan tak aa gayi hoon

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

aadmi bulbula hai paani ka aur paani ki behti sateh par toot'ta bhi hai, doobta bhi hai phir ubharta hai, phir se behta hai

Gulzar (@gulzarpoetry) 's Twitter Profile Photo

na samandar nigal saka issko na tavaareekh* tod paai hai waqt ki mauj par sadaa behta aadmi bulbula hai paani ka [*ittihaas]